مدیر: ثمینہ راجہ

Saturday, December 12, 2009

Faiz




Meray Qatil Meray Dildar

mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis ghari raat chale
aasamano.n ka lahu pee kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hoi, hansati hoi, gaatii nikale
dard kii kaasani paazeb bajaatii nikale
jis ghari sino.n me.n doobate huye dil
aastino.n me.n nihaa.n haatho.n ki rah takane nikale
aas liye
aur bachcho.n ke bilakhane ki tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagi machale to manaye na mane
jab koi baat banaaye na bane
jab na koi baat chale
jis ghari raat chale
jis ghari maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho


Hum Dekhain Gey


Hum dekhain gey
Lazim hai ke hum bhi dekhain gey
Hum dekhain gey
Woh din ke jis ka wadah hai... Hum dekhain gey
jo loh-e-azal pe likha hai... Hum dekhian gey

Lazim hai ke hum bhi dekhain gay
Hum dekhain gay
Woh din ke jis ka wadah hai… Hum dekhain gay
Jo Loh-e-Azal pe likha hai… Hum dekhian gay
Jab Zulm-o-Sitam ke Kooh-e-Garan
Rooyi ki tarah udh jayen gay
Hum Mehkoomon ke paoon tale
Yeh dharti ghadh ghadh ghadhke gi
Aur Ahl-e-Hakam ke saron per
Jab Bijli kadh kadh kadhke gi
Hum dekhain gay
Lazim hai ke hum bhi dekhain gay
Hum dekhain gay
Jab Arz-e-Khuda ke Kaabey say
Sab butt uthwaye jayen gay
Hum Ahl-e-Safa Mardood-e-Haram,
Masnad pe bithaaye jayen gay
Sab taaj uchhale jayen gay,
Sab takhat giray jayen gay
Hum dekhain gay
Lazim hai ke hum bhi dekhain gay
Hum dekhain gay
Bas naam rahe ga Allah ka
Jo Gayab bhi hai Hazir bhi
Jo Manzar bhi hai Nazir bhi
Uthe ga haq ka naara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj kare gi Khalq-e-Khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Hum dekhain gay
Lazim hai ke hum bhi dekhain gey
Hum dekhain gey
Woh din ke jis ka wadah hai… Hm dekhain gey
Jo Loh-e-Azal pe likha hai… Hum dekhian gey


Raqeeb say

Aa, kay wabasta haiN us husn ki yaadeiN tujh se
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha
Jis ki ulfat meiN bhula rakhi thi duniya hum ne
Deher ko deher ka afsana bana rakha tha

Aashna haiN tere qadmon se woh raaheN jin par
Us kii madhosh jawani ne inayat ki hai
KarwaaN guzre haiN jin se usi raanaai kay
Jis ki in aankhoN ne be-sood ibadat ki hai

Tujhse kheli haiN woh mehboob hawaaiN jin mein
Us kay malboos ki afsurda mehak baaqi hai
Tujh pay bhi barsa hai us baam se mehtaab ka noor
Jis meiN beeti hui raatoN ki kasak baaqi hai

Tu nay dekhi haiN woh peshani woh rukhsaar woh honT
Zindagi jin kay tasavvur meiN luTa di humne
Tujh pay uTThi haiN woh khoii hui sahir aankheN
Tujhko maloom hai kiuN umr ganwadi hum ne

Hum pay mushtarkah haiN ehsaan gham-e-ulfat kay
Itnay ehsaan kay ginwaauN to ginwaa na sakuN
Hum nay is ishq meiN kya khoya hai kya seekha hai
Juz teray aur ko samjhauN to samjha na sakuN

Aajizi seekhi, ghariboN ki himayat seekhi
Yaas o hirmaan kay dukh dard kay maani seekhay
Zeer dastoN kay masaaib ko samajhna seekha
Sard aahoN kay rukh e zard kay maani seekhay

Jab kahiN beTh kay rotay haiN woh bekas jin kay
Jin kay aankhoN meiN bilaktay huey so jaate haiN
NatawaanoN kay niwaloN pay jhapaTtay haiN uqaab
Bazoo tolay hue manDlaatay hue aate haiN

Jab kabhi bikta hai bazaar meiN mazdoor ka gosht
Shah rahoN pay ghareeboN ka luhoo behta hai
Aag si ssenay meiN reh reh kay ubalto hai na pooch
Apnay dl par mujhe qaaboo hi nahiN rehta hai

===================================

No comments:

Post a Comment

z

z